muhabat aik afaqi jazba ha. is k beshumar roop hoty han. ik insan ki dosray insan se muhabat,dosto ki muhabat,behan bhai ki muhabat, ma baap ki muhabat, aulad ki muhabat, aur SAB SE BARH KAR MAKHLOOQ KI APNY KHALIQ SE MUHBBAT. ye sab muhabbaten han jo insan karta ha, karta rahy ga. Ghor karo to in me koi be-gharz nahi ha. insan kitna hi be-gharz ho, magar kisi dosray insan se muhabat karty huay mukamal tor par be-gharz nahi ho sakta.koi gharz na ho to tanhae door karny ki gharz to ha. Akyla to koi nahi reh sakta. insaan mashrati janwar ha. to taluq rakhny ki gharz to aik bari sachae ha. DOSTI KA BHI YAHI HAAL HA. koi HAM KHAYAL, jo acha b lagta ho. is se mil kar bat kar ky dil khush hota ha. Gharz to Hue na. aur ikhtilaf ho jaiey ,,,, sangeen nouyat ka ikhtilaf ho jiaiye to ADMI is dost ko chor dyta ha. koi aur dost talash kar lyta ha. Bhai dost se bari zarurat hota ha. Ak bohot apna, jo har kary waqt me sath rahy.... hamara dukh bantay... tasaali dy. Lakin aj kal bohot kamm bhai bhai hony ka farz pora karty han. aur muhabbat , ye to bohot mushkil se milti ha. ya milti hi nahi.
Maa baap se aulaad ki gharz hoti ha, bulkay is ki had nahi hoti. aadmi ko itna kuch milta ha maa baap se. wo in se muhabbat na kary to kia kary aur KHUDA ki MUHABBAT! wo to ha hi MOHTAAJ ki muhabbat jo wo is se karta ha, jo is ki har zarurat pori karta ha. wo maa baap se BARH KAR KHAYAL RAKHNY WALA HA. ZARURATEN PORI KARNY WALA HA. Bss MAA BAAP KI AULAD SE MUHABBAT SE SE MUKHTALIF HA. Magar nihayet be-gharz hony ka bawajood gharz se bilkul paak wo bhi nahi ha. BAAP ko aulad se aik masoom c gharz hoti ha k wo is ki nasal ko agay barhaiye ga, marnay k bad is k nam ko zinda rakhy . Haan maa ki muhabbat bilkul be-gharz ha, is ka bss chaly to aulaad ka har dukh khud ly ly aur usay dukh se mehfooz kar dy.
KHALIQ KI ALLAH KI MUHABBAT hi sab se khalis , sab se be-gharz aur baak muhabbat ha, kiun k isay kisi sy kuch nahi chahiyey. wo sab kuch banany wala ha har chez ka malik ha. koi usay kuch dy nai sakta, isay na hi zarurat ha. lakin humen us ki rehmat aur barkat ki zaruat ha.
Muhabbat admi ALLAH se kary ya is ki makhlooq se, wo ibadat hoti ha. shart ye ha k wo Paak mohabbat ho aur muhabbat karny wala har pal ye yaad rakhy k isay aur is k mehboob ko ALLAH ne banaya ha... Ehsaan kia. Aur yahi nahi, in k dilo me muhabbat b isi na daali, warna wo yek-ja nahi ho sakty thy. Ye to ALLAH ka ehsaan ha. Is KHAYAL K SATH MUHBBAT IBADAT HO GE. AUR IS K BAGHER HAWIS.
Ishq ka sheen by aleemul haq haqi
That is fine - all about the nice things. Technology, Project Management, Designing, Development, Quotations, Photography, Lyrics, Literature, Poetry, About The Cities, Religion, Job, Life, Songs, Movies, Dramas, History and much more.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
nice
ReplyDeletekhaliq sey muhabaat tasleem hey. apno sey muhabaat sila rehami hey, kamzooro sey muhabaat madad mey hey. bachey sey muhabaat shafqat, baroo sey muhabaat respect mey hey.
ReplyDelete