Muhabbat karnay waly ko apny mehbob se koi gharz, koi talab nahi hoti. wo to apnay mehboob se badlay me kuch b nahi mangta. muhabbad bhi nahi, iltfat ki aik nazar bhi nahi. wo to bss muhabbat kiye jata ha , kiu k muhabbad aik khud kar jazba ha, jo dil me khud ba khud ubharta ha. to muhabbat karny wala to muhabat karny par majbor ho jata ha. wo koi shart aed nahi karta. ye muhabat nahi k mehbob jawab me muhabat na dy to usay chor kar kisi aur se muhabat kar lo. YE to PHIR karobar HUA.
Upper wala khayal ki tarah kisi ko muhabbat bhi somp dyta ha.
muhabbad pak aur buland jazba ha. aur ye mehdood bhi nahi. ma bayty se muhabat karti ha, Banda mabood se muhabat karta ha. muhabat kisi ko kisi seb ho sakti ha. KISI MARD ko KISI AURAT se ho sakti ha. LAKIN Muhabbad ki Bunyad JISM KABHI NAHI hota. Is ki buniyad achy ausaaf bhi nahi hoty. Mehboob ka zahir bhi nahi hota, kiu k muhabbad lafani jazba ha. Admi borha ho jaiye to JISM dhal jata ha. Muhabbat kabhi khatam nahi hoti, chahy koi burae b samnay a jaiye. chahy Jism dhal jaiye, chahy Insan mar jaiye.
Insaan dosray insaan se sirf muhabat hi kar sakta ha, lakin insaan ko ALLAH se muhabbat karni chahiye kisi fani shye se nahi, KABhi ISHQ nahi. kiu k isht to Sirf Aik MABOOD ALLAH se hi ho sakta ha. Aur jis ko ho jiaye wo khushnaseeb ha.
lines from Ishq Ka Sheen by Aleemul-haq-haqi
That is fine - all about the nice things. Technology, Project Management, Designing, Development, Quotations, Photography, Lyrics, Literature, Poetry, About The Cities, Religion, Job, Life, Songs, Movies, Dramas, History and much more.
Mohabaat aik husan hey.... khiyaal aur ehsas ka husan muhabat ka chehra hey. Muhabaat ehtram hey.
ReplyDeletehaan koi gharz koi talab nhin hoti hoti hy to sirf yeh k woh hamesha khush reh usey khus rkha jai, aik dafa HAZRAT Alin ney Irsha FARMAIA k JUNAT sey zeada mujhy MASJID men bethna aziz hy keon k JUNAT men mera nufes khush hoga or MASJID me mera RAB, yeh asal muhbat hy, k apny mehbob ki khushi aziz ho, shyd isi lea hum kisi ko disturb nhin krna chah reh aj kal
ReplyDelete