Tuesday, October 21, 2008

very tense...

kuch bhi pany k liye mehnat, koshish, aur dua ki zarurat hoti ha. ye teen cheezen sath hon to shaed sab kuch mil jata ha, wo jo bejan ho. lakin wo nahi jis me jan ho.

mary zehan me bohot sawalat ha, lakin un ka jawab dayny wala koi bhi nahi ha.

agar khud k sath life me bura ho jaiye to, khud ko bura nahi kehna chahhiye, kku k zindagi bura karti ha, hum nahi. lakin insaan kabhi kabhi, mayous ho kar, aur ye soch kar k mary sath bura hua kiu k me bura hun, apny ap ko najany kitna bura bhala kehny lagta ha. halan kay wo bura nahi hota, wo log buray hoty hen, jo usay ye sochnay par majboor karty hen.
Zindagi me agar koi hum se door ho jata ha, us ki sansen us ka sath dyna aik din khatam kar dyte han, to wo hum se hi nahi duniya se dor ho jata ha. hum rotay hen, zindagi kuch din k liye ruk c jati ha. lakin hhumen ye manna hi parta ha k ab wo nahi ha, sirf humary dil me aur hamari yado me ha. wo jaty huay apni yaden chor jata ha. khushgawar yaden aur ghamgeen yaden. yad agar khushgawar bhi ho wo humen ghamgeen hi kar jati ha.
wo zinda nahi han, ye soch kar kuch din, kuch week, kuch month, ya kuch saal bad hum apni zindagi pehly c jena start to kar dyty han, lakin us ko pori tarah bhula nahi paty han. k koi aur halchal ho jati ha zindagi me, jo shuru me khushi aur bad me udassio ka toofan chor jati ha. aur is bar ye sab kuch janty bojhty hota ha. is bar b yaden baqi rehti han, is bar b zindagi ruk c jati ha, is bar b jeena me maza maza nahi ata, is bar b sab kuch pehly sa hota ha, lakin aik farq hota ha, aur us farq ki waja se hi, humen andaza hota ha, k duniya k se jany walo me, aur zindagi se jany walo me kitna farq hota ha. ZAMEEN AUR ASMAAN ka, ya phir is se bhi ziyadah... jo na alfaz bayan kar sakty han aur na hi soch us had tak ja sakti ha.



“when i get honest, i admit i am a bundle of paradoxes. i believe and i doubt. i hope and i get discouraged. i love and i hate. i feel bad about feeling good, i feel guilty about not feeling guilty. i am trusting and suspicious. i am honest and i play games. [i am sometimes too much, other times not enough]. aristotle said i am a rational animal; i say i am an angel with an incredible capacity for beer. to live by grace means to acknowledge my whole life’s story, the light side and the dark. in admitting my shadow side, i learn who i am and what God’s grace means.”
Brennan Manning .

Zindagi hony ko achi ho sakti ha, agar dunia me kabhi koi bura na mily aur na koi bura kary. zindagi ko bura koi ku kahy?? ye to aik naimat ya tohfah ha. lakin loog aur halaat ki zad me a kar, insaan kia se kia kar baithta ha, aur akhir kaar aik din usay is zindagi par naaz nahi pasheman hona parta ha.
wo itna bura feel karta ha, k jasy pal pal mar raha ho.

marte haiN aarzoo meiN marne ki
maut aatee ha, par nahi ati

No comments:

Post a Comment

Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.