Friday, March 13, 2009

mujhe sochne de

merii naakaam muhabbat kii kahaani mat chheR
apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa
zindagii talKh sahii, zahar sahii, sam* hi sahii
dard-o-aazaar sahii, jabr sahii, Gham hi sahii
lekin is dard-o-Gham-o-jabr kii vus’at ko to dekh
zulm kii chhaaNv meiN dam toRtii Khalqat ko to dekh
apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa
merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR

jalsa-gaahoN meiN ye vahshat-zadah sahme aNboh
rahguzaaroN pe falaakat zadah logoN ke giroh
bhook aur pyaas se paz-murdah siyaah-faam zamiiN
teerah-o-taar makaaN, muflis-o-beemaar makeeN
nau’e-insaaN meiN ye sarmaayaa-o-mehnat ka tazaadd
aman-o-tahzeeb ke parcham tale qaumoN ka fasaad
har taraf aatish-o-aahan ka ye sailaab-e-azeem
nit naye tarz pe hoti huii duniyaa taqseem

lahlahaate hue khetoN pe javaani ka samaaN
aur dahqaan ke chhappaR meiN na battii na dhuaaN
ye falak-bos mileiN, dilkash-o-seemeeN baazaar
ye Ghalaazat ye jhapaT_te hue bhooke baazaar
door saahil pe vo shaffaaf makaanoN ki qataar
sarsaraate hue pardoN meiN simaT_te gulzaar
dar-o-deevaar pe anvaar ka sailaab ravaaN
jaise ik shaayar-e-madhosh ke KhwaaboN ka jahaaN

ye sabhii kyoN hai ye kyaa hai, mujhe kuchh sochne de
kaun insaaN ka Khudaa hai, mujhe kuchh sochne de
apni maayuus umangoN ka fasaanaa na sunaa
merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR

Glossary:

talKh = bitter
sam = poison
dard-o-aazaar = pain and troubles
jabr = opression
dard-o-Gham-o-jabr = pain, sorrows and opression
vus’at = open space, big open space
Khalqat = the world
jalsa-gaahoN = the places of celebrations
vahshat-zadah = inflicted with fear
aNboh (or amboh) = crowd, mob
rahguzaaroN = roads
falaakat-zadah = mistry struck, evil struck
giroh = crowd, mob
paz-murdah = withered, decayed
siyaah-faam = blackened
teerah-o-taar = dark
makaaN = houses
muflis-o-beemaar = poor and sick
makiiN = residents
nau’e-insaaN = mankind
sarmaayaah = reward
mehnat = work
tazaadd = contradiction, inconsistency
aman-o-tehzeeb = peace and civilization
parcham = flag? (and from the dictionary: the fringed bunch or tassel of a spear or lance, or of a pair of colours)
qaumoN = sects
fasaad = fights, arguments
aatish-o-aahan = fire and iron
sailaab-e-azeem = great flood
tarz = fashion, style of conduct, manner of way
taqseem = division
dahqaan = villager
falak-bos = kissing the skies
mileiN = mills
dilkash-o-seemeeN = beautiful and delicate (seemeeN means made of silver)
Ghalaazat = roughness, rudeness
shaffaaf = clear… (white / clean?)
qataar = line
anvaar = light

1 comment:

  1. One of all time Fav's.. Thanks for sharing it here.. AND Specially Great Work for writing the Glossary terms.. Nice Work!

    ReplyDelete

Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.