Sunday, December 21, 2008

kyaa ruKhsat-e-yaar kii ghaDii thii

kyaa ruKhsat-e-yaar kii ghaDii thii
kyaa ruKhsat-e-yaar kii ghaDii thii
ha.Nsatii hu_ii raat ro paDii thii

ham Khud hii hue tabaah varnaa
duniyaa ko hamaarii kyaa paDii thii

ye zaKhm hain un dinon kii yaaden
jab aap se dostii baDii thii

jaate to kidhar ko tere vahashii
zanjiir-e-junuuN ka.Dii paDii thii

Gam the ki 'Faraz' aaNdhiyaaN thii
dil thaa ki 'Faraz' pankhudii thii

us ne kahaa sun

us ne kahaa sun
ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa
ahad nibhaanevaale aksar majabuurii yaa
mahajuurii kii thakan se lauTaa karate hain
tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao
jin aaNkhon men Duubo
jis dil men bhii utaro
merii talab aavaaz na degii
lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lau
itanii tez aur itanii uuNchii ho jaaye
jab dil rode
tab lauT aanaa

Saturday, December 20, 2008

Insaan aur bad

Yon hasi aati hai mujh ko haz-rate Insaan per.

Kare bad tu khud kare, Laanat kare Shaitaan per

Friday, December 19, 2008

Ye mashq-e-gham-naveesi mera shoq tu nahin hey - Saadgi

Ye mashq-e-gham-naveesi mera shoq tu nahin hey
na hi zindagi ka noha mera khaas mashghala hey
par sochta hoon waqt ney mujhey aesa kya dia hey
jisey koi wajah bana kar mein khushi sey jhoom jaaoon
mein aainon ke rukh par muskaan apni deikhoon
ya mosamon ki dhun par koi naghma gun’gunaaoon!
mein wafoor-e-dard-o-ranj sey jo kuch bhi seekh paaya
wo tajurbat bechney ko koi dukaan nahi sajaai
ye haadson ke qissey to bas yunhi likh raha hoon
mein ney kaaghzon ke ooper koi numaaish nahi lagaai!

tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hai.n dosto

tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hai.n dosto
ab ho chalaa yaqii.n ke bure ham hai.n dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n
aa.Nkhe.n to dushmano.n kii bhii pur_nam hai.n dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apanii talaash me.n to ham hii ham hai.n dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhii maddham hai.n dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqe.n bhii ko_ii dam hai.n dosto

sab kuchh sahii 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa me.n aise log bahut kam hai.n dosto

Sunday, December 14, 2008

us ne kiun kulhari mari khud k pairo par? au phir chalny k qabil bhi na rahi.

Us ne dosro ka bhala karny k liye  apny pair par kulhari mari thi aur ab phir us ne apny pair par phir kulhari marna shuru kar di ha. mar kar bhi, halan k marny k bad to us ko sab ki haqeeqat malom ho gae ha. us k bawajood bhi, ab bhi wo bewaqoof is kameeni duniya ki help karny chati ha. Kiun, chahti ha wo. me ne usay bohot samjhaya. wo bohot stupid rahi thi apni zindagi me, us ne kabhi kisi ka bura nahi chaha tha, aur hamesha is kameeni dunia na us k sath bura kia. usay bura hi kaha. wo beywaqoof thi. bohot ziyada beywaqoot. statements aur saying parha karti thi, to samjhny lagi ho ge k zindagi me aysy hi hota ho ga. aur us ne b wahi kia. acha hi karti rahi har aik k lie. kisi par nahaq ilzam nai lagaya. lakin khud khud ... aur us k sath kia hua, naiki kar dariya me daal.Us ko khud par itna aitmad tha k samjhti thi k aik k achy honay se us ki surrounding bhi achi ho sakti ha, lakin nahi. wo is sadi me jee rahi thi. 1400 saal pehly ki waqt me nahi.

mujhy tars ata ha us par. bohot tars ata ha.

Thursday, December 11, 2008

who like what?

Dunia ko muskuraty huay chand chehry pasand hoty han, un ko sarahty aur un hi ko sir ankho par bithaty han.
jin ki ankher roshan hon, na k nam hon.
jin ka chehra phol ki tarah khila ho, na k khizan ki tarah ujra hua. chahy khizan lany wali dunia hi kiu na ho.

Wednesday, December 10, 2008

Dil aur Dimagh

Bay  Khatar  Kood  para  ISHQ  mein  Aatish-e-Namrood
Aqal  hai  Mehway  Tamasha-e- Labe  Baam Abhi !!!
Kuchh Loug  Moqam-e-Ishq ko apni manzil samajhte hai  ,

kuchh loug  Aqal ko fouqiyat dete hain aur  sari Zindagi  mamlat ko aqal  ke  paimanay se  parakhte  hain.
Lekin  haqeeqat   ye  hai  k  Kamyabi  aur  Baqa   un  logoon  ko hi  naseeb  hoti hai jo Ishq-e-Haqeeqi  mein  khud ko fana kar dete hain.

Ishq  aur  Aqal mutzad hain.
Ishq  ka talluq  Dil se hota hai  aur  Aqal ka  talluq  Dimagh se hota hai.
Aqal   Daleel  mangti hai ,
Ishq  kisi daleel ka muhtaaj nahi , is  mein  dil ko sirf Yaqeen hasil  hota  hai.

Aqal ko “Main” ke  siwa kuchh nazar nahi aata
Ishq  mein   sirf  “Too hi  Too” hota hai,

Aqal , Takabbur mein  mubtala karti hai.
Ishq Aajzi aur Adab sikhata hai,

Aqal  har bat mein  Nafa aur  Nuqsan  dekhti hai.
Aashiq  ko sirf  Mehboob   se  gharz  hoti hai,aur Mehboob ki raza hi maqsood hoti hai.

ALLAH TA’ALA ko  ishq ke Andaz pasand hain.
Quran  Pak  mein  mazkoor hai  k  Jab  ALLAH TA’ALA ne  Farishtoon ko  hukum  diya k  AADAM (Alaih Salam)  ko  Sajda karo   tu  sab  ne  Sajda  kiya  Siwaey  IBLEES ke.

Jab  ALLAH  TA’ALA ne  Iblees  se is ki  wajah pochhi  tu Us ne  Daleel  yeh di  ;
“AADAM  matti se hai  aur  MEIN  aag  se  hoon,  Mein  Bashar ko sajda kuen karoon? “Iblees ne  khud ko NABI se compare kiya,  Wo aqal par bharosa kar baitha. Jab  us ki  aqal ne  Apna aap  dikhaya  tu  wo  Takabbur  mein  mubtala  ho  gia aur  ALLAH ki  nafarmani ka murtakib hua. Us k paas “Ilm” tu tha lekin  “Ma’refat” nahi thi.. Us ki  Gustakhi ne hamesha k liye us ko Mardood  bana diya.

Iblees  ka  “Ma’bood “ tu  tha  lekin  “Mehboob” koi nahi tha.

Doosry  taraf,  Farishtoon  ne Ishq   ka daman pakra.  Wo bhi jante the  k “yeh  Bashar hai” lekin  unhoon ne  Aqal ko  chhor  kar   ADAB ko ikhteyaar kiya.  Un ki  A’AJZI  aur  Adab  ne  un ko  Bargah-e- ILAHI  mein  moqarrab bana diya.

Jab  Ishq  Sikhata  Hai  Aadab-e- Khud  Aagahi
Khulte  hain  Ghulamoon  pe  Israr-e- Shehan shahi

ALLAH  Rabbul Izzat  ko  A’ajzi  aur  Adab pasand  hai. Jahan  Ishq  hota hai  Wahan Mehboob ka  Adab bhi  hota hai.
Ishq  koi ma’mooli cheez nahi,……

Yeh  tu  Wo  Jazba hai jo ik  Musalmaan ko  Kamil  Momin banata hai.
Jab tak  Dil  mein  Ishq-e-Rasool( Sallal lahu Alaihe Wa’alehi Wassallam)  na  ho  IMAAN hi  mukammal nahi  hota.

Aur  Imaan ke  beghair  koi  amal  ALLAH  ki  bargah  mein  maqbool  nahi.
Buhat se  Loug  aisay bhi hote hain  Jo Sirf  A’amaal ke  zarye   Qurb-e-Ilahi ki manazil   tay  karna chahte hain.

Jin logoon ne   direct  ALLAH se  Muhabbat karma  chahi ,  direct   ALLAH ke  Qurb ke  Talabgaar huwe un se ALLAH Pak ne  Farmaya:
Mujh se  Muhabbat karte ho , tu Mere  NABI(Sallal lahu Alaihe Wa’alehi Wassallam)  ke Sachay  AASHIQ ban jao,….

Meri  Rehmat  ko pana hai, tu  DAMAN-E-MUHAMMAD( Sallal lahu Alaihe Wassallam) ko  thaam lo,…
Meri  Ata’at  karma  chahte ho, tu  Mere MUSTAFA(Sallal lahu Alaihe Wassallam) ke  Ba’adab GHULAM ban jao,…..

Mera  Qurb pana chahte ho, tu  Mere  HABEEB(Sallal lahu Alaihe Wassallam) ke WAFADAAR ban jao,…..
Mere Mehboob banna chahte ho tu, Mere HABEEB(Sallal lahu Alaihe Wassallam) ke  JAAN NISAR ban jao,….

Meri  Raza  ki  Talab hai ,tu  Mere  Mehboob  RASOOL(Sallal lahhu Alaihe Wassallam)  ko  RAZI karo.
RAB TA’ALA  ne farmaya:

Ae  Bando!  Mein  RAB hoon. Mera Koi  Shareek  nahi, Meri  Zaat hi Ebadat k  laiq  hai.Mein  Qadir-e- Mutaliq Hoon.  Tumhain  Yeh  Sab  Meine  Apnay  HABEEB(Sallal lahu Alaihe Wassallam)  ke  Zarye  se  bataya hai.Meri  Zaat ka  Irfaan Tum  ko  Mere  MUSATAFA(Sallal lahu ALiahe Wassallam)   se  mila  hai.Is liye  agar  Mere  banna  chahte  ho  tu  Mere  MUSATAFA  ke  ban  Jao.Mujh tak  pohanchanay  wala  har  Rasta  MERE MUSTAFA(Salall lahu Alaihe Wa’alehi Wassallam)  se  shroo’ hota hai.

Ki  MUHAMMAD(Salla lahu Alaihe Wassalalm) se  Wafa  Too  Ne , Tu  HUM Tere  hain,
Yeh  Jahan  Cheez  hai  kia ? LOH  O  QALAM  Tere  hain

ALLAH Pak  se yehi Dua  aur  Ilteja  hai;
YA  RAB!  Mujay  Dolat-e- Bay Kali Milay,
Mujay Izterab ki  lehar  Milay….
Yoon  Doboon  ISHQ-E-NABI  mein ...
k Mujay Apni bhi na  Khabar  Milay!!!!