Friday, April 18, 2008

dil he to ha

1.      dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?

[ sang = stone, KHisht = brick ]

2. dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

[ dair = temple, haram = mosque, dar = gate, aastaaN = abode,
rehguzar = path/way ]

3. jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?

[ jamaal = beauty, faroz = shining/luminous, meher = sun,
neem_roz = mid day, nazzaara_soz = beautiful/worth seeing ]

4. dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ?

[ dashna = dagger, GHamza = amorous glance, jaaN_sitaaN = distroying
life, naawak = a kind of arrow, aks = image ]

5. qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?

[ hayaat = life, band-e-Gham = conceled sorrows,
nijaat = release/liberation ]

6. husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN ?

[ husn_zan = favourable view, bulhawas = slave of passions/very
greedy, 'eitmaad = reliance/dependance ]

7. waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN ?

[ GHuroor = pride, iz'z-o-naaz = respect and beauty,
hijaab = veil/modesty, paas = regard, waz'a = behaviour ]

8. haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?

[ parast = worshipper, deen = religion/faith ]

9. 'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?

[ KHasta = sick/injured, zaar-zaar = bitterly ]

No comments:

Post a Comment

Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.