Sunday, February 7, 2010

chehry parha karo...

baaz auqat rukna bohot mushkil ho jata ha. aur baaz auqaat aagay chalna mushkil nahi na mumkin hota ha.

ye jo chehry hoty han inhen parha karo. dunia ki sab sa behatren kitab hoty han. kahi kitab ka getup umda hota ha, magar andar ki tehrer ghatiya hoti ha. kahi mamooli kaghzaat par aala darjy ki tehreer hoti ha.
kabi chehry ki tehrer bot waza ho kar b parny ko dil nai karta.
wo jany anjany me boohot andhery rasty par nikal ae ha. usay ye bhi nahi maloom k ye rasta band ha. kahi nahi jaata. aur me jab sa soch rahi hu k us ka kia ho ga.


kuch loog andhery me bhatakty huay bhi roshni ki tammanna zarur karty han. aur in ko in andhero se pyar hota ha. wo zindagi k in andhery ka ik hisssa ban chuky hoty han.





me waqt ko zaya nahi karti, waqt ne mujhy zaya kia ha.


me janti hu insan k hosly ko utna hi azmana chahiye jitna us me hosla ho, insan ko kisi unchi kursi par bitha dyna us ki izzat afzae nahi. us k sath zulm ha.

No comments:

Post a Comment

Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.