Tuesday, November 4, 2008

Mari aaj ki Nazm ---

koi mananey wala hi nahin
rooth key khud hi man jati hoon main
koi nahin jo samjhaey mujhey
bus apney dil ko khud hi samjha leti hoon main

yeh dil bhi ajeeb cheez hai
jo isse tor detey hain, unhey dil main basa leti hoon main
loog bekher detey hain is dil ko
jab chaley jaatey hain to khud hi saja leti hoon main

deney waley dard dey ke chale jaatey hain
woh haseen yadain seeney sey laga leti hoon main
ab to aadat hogayee hai aisi key
roona chahoon bhi to na jaaney kion muskura deti hoon main

yeh kaisa tanhae ka alam hai
har taraf shor hokar bhi apney aap ko tanha paati hoon main
tum kaisey suno gey meri dastaan ae Tanhae
patharon ko bhi suna kar rula deti hoon main

No comments:

Post a Comment

Dear blog visitor, Thanks for visiting my blog.